Thursday, October 16, 2008

chalo ....

zindagi
ankahee ansunii daastaano se bhari
behisaab ashkon ki jaise ik jhadee
kaun kehta hai zindagi mein
ghum hi ghum hain bataney k liye
aaj fir se muskura do yaaron
zamaana apna bananey k liye
kisi kone mein dafn ho jaengi ye yaadein
kehne ko bi na rahengi baaatein
sun ley zara koi ek dhadkan ka paigam
ghulami karti jaengi ye saansein khuley aam
hosh mein ya behoshi mein chalo
bas yaaron chaltey chalo
na janey kaunsa mukaam aaney ko hai
intezaar ki hadh paar kartey chalo
fir se koi naya farishta agle mod pe hoga
har din ek naya rishta naye zor pe hoga
yakeen na aye agar tumhe isper
ek baar muskura k sheesha dekh lo
agar aarzoo na ho jeeney ki
jo bas mein ho kar daalo meherbaano
na bhulo ki bandh ghadii bhi anjaaney mein
do bar to sahi waqt dikhati hai pyaaron
isi ek ummeed ko lekar
chahey jitney din biita lo
hosh mein ya behoshi mein chalo
bas chaltey chalo yaaron

Monday, October 6, 2008

anjaana

chubhtey hain ye waqt k
daaman se liptey huye kaantey
kuchh bhi to saraahaa nahi
jo ummeed se bandhtey rishtey - naatey
kyun fizaon ko meri zindagi ka
raasta pata nahi chalta
kyun saawan meherbaan ho kar
jannat ka ehsaas nahi deta

Bujhtey rehtey hain khwabon k diye
jo jaltey they jane kiske liye
Ab bhi sukoon ka ek katra nahi
jhulas gaya har zarra jisey paney k liye
ghut rahee hain is dil k
armaano se judi meri saansein
kuchh bhi awazein nahi
jinhey sun k farishtey chaley atey

Kyun jhakhmon ko mere dard ka
vaasta pata nahi chalta
kyun meri parchhai ko aksar
in takleefon ka chehra nahi dikhta

kuchh bhi to sahaara nahi
na-ummeed se ho k seham jatey
chubhtey hain ye waqt k
daman se liptey anginat kaantey......*
*****************************************shaneel